Monday 1 September 2014

Maazi


Kun tode tumne voh taalein tumhare liye jo bane hi nahi the,
Kun bin batayen chaley aatey ho, kahin bhi, kabhi bhi,
Maine to bulaya nahi kabhi bhi, Chod to aayein thi beetin hui garton mein,
Main to chali the khojne apne kshitij ko,uljha diya tumne bhulayein sayon mein,
Nahin dekhna un parchaiyon ko phir se, bejaan; bematlab phirtin hain har jagah voh,

Main hi kun hun tumhare zahan mein, kun jakad lete ho mujhe beetein samay mein,
Maine nahi buni thi akele voh chand ki siri, phir mujhe hi kun gherte hain tumahare yeh sannate
Maine nahi pucha koi sawal tumse, mujhe mat ghero jawabon ke khel main,
Nahin chahey maine rang tumhare kabhi bhi, kun bhechte ho luti hui dukan ko mujhko
Udd chalo un parindo ke saath tumbhi, jahan tum par saath hanse sabhi hi

Kya milega samay ki suinyaan mere paanv tale rakh kar, nahi haarte tum is khel se kabhi bhi,
Thak nahi gaye ho ek hi saar ki dhun se, chale jaon nahi hai tumhari jaroorat yahan pe
Nahi aati ab hansi bhi tumhare manoranjan pe, dehleej par baithti ab har baar jaane ke intezar mein tumhare,
Jantein ho tum sahi nahi kamzoriyon pe hansna kisi ki, ab nahi chubhti tumhari yeh bhi salakhein
Janti hun ki tum ko khushi hai ki farak padta hai ab bhi mujhko, par kya mil gaya is se tab bhi tumko,

Kya bematlab sa khel hai yeh, kun aajate ho baar baar bin bulaye kabhi bhi,
Keh do kaunsa karz hai tumhara mujh par, nahi samjhata tumhari kartabon se mujhko,
Ek hi rang bacha hai is berang se safar mein, nahi jhunjhlatein hai ab tumhare jeet ke thahake,
Chale jaon ab to shaam ho chali hai, jeet bhi ab tumhari phiki pad gayi hai
Nahin hai kahin ja rahi ab yeh nazar, kya milega ab us ant tak ruk kar,

Chale jaon jahan pade jayein tumhare jumle, kya milega in khandron se takra ke
Kya mila tumko mere saath aakar, bikharungi to main bhi samay ke andheron mein,
Tumhara dar hai mujhse bhi jyada tabhi to rehte ho registaan mein simat kar,
Mera na rahega kuch bhi yahan par, tum bhi kab tak bachoge samay ke is karz se,
Mere liye nahi to mere saath hoge vida tum bhi, Kya mil gaya is naach se tumhe bhi,
Kya mil raha hai is naach se tumhe bhi.




No comments:

Post a Comment