Dekhon ummed ke tohfhe se tumhare sab jal gaya hai,
kuch panpa nahi us zulsi hui jammin mein phir kabhi,
Ek taboot baitha hai aangan mein zinda,
shayad uska samay ka safar abhi baaki hai,
Ho aana kabhi fursat se zindagi ya maut ki numaish dekhne,
Tumhare jane se uski sirhan kuch der tehar jaye shayad.
Makabara bahut khubsurat hai voh,
Uske pedon ki chanv mein shaukeen kisse bunte hai bahuut,
Tapta to phir bhi akela hai voh sangemarmar,
Pathar ka lagav tha tumhara nahi jana tha pehle shayad,
Nahi to khud na chal deta sangemarmar ka tohfa tum par karke nisar,
Unche adab ke tumhare minar pehra denge kya us taboot ko vahan
Par poocha tha is saude se pehle kya makbara hi usne chaha tha?
No comments:
Post a Comment