Wednesday, 10 September 2014

Kemal Bey is constantly speaking in his mind and therefore to me. Throughout the journey of the book. But when I with him have to suffer, feel desperate for a way-out like he does, it is cruelty to think therefore that his loss would not affect me deeply. If you are a good artist - that you are, you should know, I lived in those streets that you portrayed, you can not kill hope in that new world for me. There should be a light after despair.

“She looked out the window; in her eyes was the light that you see only in children arriving at a new place, or in young people still open to new influences, still curious about the world because they have not yet been scarred by life.” ― Orhan PamukThe Museum of Innocence

Monday, 8 September 2014

Makbara

Dekhon ummed ke tohfhe se tumhare sab jal gaya hai,
kuch panpa nahi us zulsi hui jammin mein phir kabhi,
Ek taboot baitha hai aangan mein zinda,
shayad uska samay ka safar abhi baaki hai,
Ho aana kabhi fursat se zindagi ya maut ki numaish dekhne,
Tumhare jane se uski sirhan kuch der tehar jaye shayad.

Makabara bahut khubsurat hai voh,
Uske pedon ki chanv mein shaukeen kisse bunte hai bahuut,
Tapta to phir bhi akela hai voh sangemarmar,
Pathar ka lagav tha tumhara nahi jana tha pehle shayad,
Nahi to khud na chal deta sangemarmar ka tohfa tum par karke nisar,
Unche adab ke tumhare minar pehra denge kya us taboot ko vahan
Par poocha tha is saude se pehle kya makbara hi usne chaha tha?

Sunday, 7 September 2014

Reading a  novel is like living a different life, sometimes as an audience sometimes as a character. Maybe growing old and knowing yourself you know who you are not. Therefore you interact, agitate and disagree with the author as it is such a personal experience.
It is living through opposing situations when you cannot keep the book down developing a deep relationship with it while you are continuously speeding to it's end. I often miss the characters the plot after it is over for me. Though often i visit them in my memory. I sometimes pick up new books to alleviate the pain of completion of the book, just like a rebound and sometimes am pleasantly surprised to be thoroughly enngaged in the new world.

In the bad days i marvel more at the genius, labor and sincerity of the creator. I hope i never come to regret, why i like these created worlds better though being a lazy reader.

Thursday, 4 September 2014

Anth

Kabhi Saathi to kabi dost,
Bada behrupiya bhagwan ho chala hai,
Kabhi murti, to kabhi vishwas,
Dekhun kahan kahan, vichar tera hi gumrah kar chala hai.

Har patthar aur har patte mein hai agar tu,
Hai agar vaani mein ya soch mein tu,
To phir jalti hai har zindagi aur uski kadi, teri kami se kun,
Bikhra hua hai kun bebas sa bhulti gehraiyon mein tu?

Sath tere insaniyat ki dukan lag gayi hai,
Har avaaz aur vishwas ki holi mani hai,
Dekh imaan ki maut ka mela laga hai,
Zarurat hi khushi hai ab, bikne ko tera bhi thela laga hai

Kahan, har jagah pahunchne ki chah thi kya teri,
Ghul gaya tu to haivaniyat mein-jaisi meri,
Khojne chali thi tujhko har parchayi mein teri,
Jante ho, pheeka pad gaya hai har aks tera.

Abroo sachaiyi, usloon ki kya teri bhi hai lagi daanv pe,
Vishwas aur ummeed ki katrane bhi jhulas gayi hai,
Bacha nahi ab tere tukdo mein kuch bhi,
Jodun kaise teri nishniyon ko, har aatma ki teri saans jo ukhad gayi hai,
Aah! Na mar ke bhi tu kitna mar gaya hai.





Monday, 1 September 2014

Maazi


Kun tode tumne voh taalein tumhare liye jo bane hi nahi the,
Kun bin batayen chaley aatey ho, kahin bhi, kabhi bhi,
Maine to bulaya nahi kabhi bhi, Chod to aayein thi beetin hui garton mein,
Main to chali the khojne apne kshitij ko,uljha diya tumne bhulayein sayon mein,
Nahin dekhna un parchaiyon ko phir se, bejaan; bematlab phirtin hain har jagah voh,

Main hi kun hun tumhare zahan mein, kun jakad lete ho mujhe beetein samay mein,
Maine nahi buni thi akele voh chand ki siri, phir mujhe hi kun gherte hain tumahare yeh sannate
Maine nahi pucha koi sawal tumse, mujhe mat ghero jawabon ke khel main,
Nahin chahey maine rang tumhare kabhi bhi, kun bhechte ho luti hui dukan ko mujhko
Udd chalo un parindo ke saath tumbhi, jahan tum par saath hanse sabhi hi

Kya milega samay ki suinyaan mere paanv tale rakh kar, nahi haarte tum is khel se kabhi bhi,
Thak nahi gaye ho ek hi saar ki dhun se, chale jaon nahi hai tumhari jaroorat yahan pe
Nahi aati ab hansi bhi tumhare manoranjan pe, dehleej par baithti ab har baar jaane ke intezar mein tumhare,
Jantein ho tum sahi nahi kamzoriyon pe hansna kisi ki, ab nahi chubhti tumhari yeh bhi salakhein
Janti hun ki tum ko khushi hai ki farak padta hai ab bhi mujhko, par kya mil gaya is se tab bhi tumko,

Kya bematlab sa khel hai yeh, kun aajate ho baar baar bin bulaye kabhi bhi,
Keh do kaunsa karz hai tumhara mujh par, nahi samjhata tumhari kartabon se mujhko,
Ek hi rang bacha hai is berang se safar mein, nahi jhunjhlatein hai ab tumhare jeet ke thahake,
Chale jaon ab to shaam ho chali hai, jeet bhi ab tumhari phiki pad gayi hai
Nahin hai kahin ja rahi ab yeh nazar, kya milega ab us ant tak ruk kar,

Chale jaon jahan pade jayein tumhare jumle, kya milega in khandron se takra ke
Kya mila tumko mere saath aakar, bikharungi to main bhi samay ke andheron mein,
Tumhara dar hai mujhse bhi jyada tabhi to rehte ho registaan mein simat kar,
Mera na rahega kuch bhi yahan par, tum bhi kab tak bachoge samay ke is karz se,
Mere liye nahi to mere saath hoge vida tum bhi, Kya mil gaya is naach se tumhe bhi,
Kya mil raha hai is naach se tumhe bhi.