Sunday, 31 August 2014

Bhagwan

Uske na hone ka khauf nahi hai,

Uske na sunne par kashmkash na hogi,

Uske chod jane par shayad ab gam bhi na hoga,

Uske hone par bhi, uspe ab aas nahi hai,

Jitni sanse jujhi hai uske bharose, bhula di gayi gintiyon ke dar se,

Uspe nisar hone par ab vishwas nahi hai

Voh nahi mere liye yahan maujud,

Saath hai uska us chor tak, jis kaam ke liye voh tere saath chala hai,

Mere kinaro ki uljhano ke vaste duniiya kahan kabhi ruki hai,

Voh aakhir hai kaun ab, bematlab ho chala hai,

Aitbar ke ilzam ab jayaz nahi hai,

Bas yunhi, ab meri tere par asastha nahi hai.



No comments:

Post a Comment